Dekhein kab tak tu khush rahta hai
Kitni Khushi milti hai tujhko, dil mera todhkar
Lekin ye dil bhi to hai, teri hi amanat
Dekhein kab tak tu khush rahta hai
Apni hi cheez ko todhkar
Kitni Khushi milti hai tujhko, dil mera todhkar
Lekin ye dil bhi to hai, teri hi amanat
Dekhein kab tak tu khush rahta hai
Apni hi cheez ko todhkar
Dard ka ehsas janna hai to pyar kar ke dekho
Apni aankhon main kisi ko utar kar dekho
Chot un ko lage gi aansoo tumhein aa jayein ge
Ye ehsas janna ho to dil haar kar dekho
Paas aa kar sabhi door chale jate hain
Hum akele they akele hi reh jate hain
Dil ka dard kis ko dikhayein
Marham lagane wale hi zakham de jate hai
Dekh kar phool ki dali hum ne
Teri tasweer bana li hum ne
Ye samjh kar ke meri zindagi tum ho
Zindagi kharab kar dali hum ne
Dil main khuch bhi raha nahin dard ke siva
Aankhon main khuch raha nahin aansoo ke siva
Ae mere dost mujhe chor ke mat jana
Meri zindagi main kuch raha nahin teri dosti ke siva
Mout ke bad yaad aaraha hai koyi
Mitti meri qabar se utha raha koyi
Ae khuda do pal ki mohlat aur dede
Udaas meri qabar se jaraha hai koyi
Aye khuda aaj yeh faisla karde
Use mera ya mujhe uska karde
Bahut dukh sahe hain maine
Koi khushi ab to mere muqaddar kerde
Bahut mushkil rehta hai usse door rehna
Judai ke is safar ko kam karde
Jitna door chala gaya hai woh mujhse
Use utna hi mere kareeb karde
Nahi likha agar naseeb main uska naam
Khatma zindagi aur mujhe fanah karde
Sapno ki tarah aa kar chale gaye
Apno ko bhula kar chale gaye
Kis baat ki saza di aap ne humein
Pehle hasaya phir rulakar chale gaye
Aankhoun per aansoo ki lakeer ban gayi
Kabhi socha na tha aisi taqdeer ban gayi
Hum ne to pheri thi yunhi ret per ungliyan
Gor se dekha to teri tasweer ban gayi
Wafaa ko aazmana chahti hoon
Tumhe main bhool jana chahti hoon
Par mujhe batao main kya karoon
Tumko main bhool nahi pati hoon
Aisa tum ne kya jadoo kya hai mujh pe
Jahan bhi jaoon…Buss tum ko hi paati hoon