Bewafa, Dard and Tragedy SMS Messages

Khud nishana ban gaye

(8 votes, average: 4.5 out of 5)
 Loading ...

Zakhm itne gehre hain,
Izhaar kya karen..

Hum khud nishana ban gaye,
Waar kya karen..

Mar gaye hum, magar khuli rahi aankhen
Ab isse zyada unka intezaar kya karen.

Jab pyaar karna seekh liya

(14 votes, average: 4.21 out of 5)
 Loading ...

Jab pyaar karna seekh liya,
Toh pyaar nibhana bhi seekh liya,
Jab aaye aapki yaad toh,
Palkon ko jhukana bhi seekh liya,
Iss dar se ki koi dekh na le yeh aansoo,
Har gham mein muskurana bhi seekh liya.

Hum the ki akele reh gaye

(3 votes, average: 4 out of 5)
 Loading ...

Aansu ke chand boondon se woh rishta humara tod gaye,
Tanha chhod ke humein gumon ko humara keh gaye,
Unki yeh anokhi aada kya thi hum ab tak na samajhe,
Aur dardon ke baarish mein hum the ki akele reh gaye.

Aapne bhi yaad karna chod diya

(10 votes, average: 4.5 out of 5)
 Loading ...

Hasi ne labo pe aana chod diya!
Khawaboon ne bhi palkon pe aana chod diya.
Nahi aati ab toh hichkiyan bhi,
Shayad aapne bhi yaad karna chod diya.

Beetay pal

(5 votes, average: 4.8 out of 5)
 Loading ...

Beetay pal wapas la nahi sakte,
Sukhe phool wapas khila nahi sakte,
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye,
par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.

Kaash k usay

(4 votes, average: 4.5 out of 5)
 Loading ...

Kaash k usay chahnay ka arman na hota,
main hosh main hote howay anjaan na hota,
yeh pyaar na hota kisi patthar dil se hamain,
ya koi patthar dil insan na hota.

Kafan na dalo

(5 votes, average: 4.6 out of 5)
 Loading ...

Kafan na dalo mere chere par
mujhe aadat hai muskurane ki,
aaj ki raat na dafnao mujhe yaaro
aaj ummid hai uske aane ki.

Anjane mein hum

(6 votes, average: 5 out of 5)
 Loading ...

Anjane mein hum apna dil gawa baithe
iss pyar me kaisa dhoka kar baithe
unse kya gila kare?
Bhool hamari hi hai
jo bina dil-walon se dil laga baithe.

Maine usse ek ishara kiya

(6 votes, average: 4.67 out of 5)
 Loading ...

Maine usse ek ishara kiya
Usne salaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhara naam kya hai?
Usne chand likh ke bheja.
Maine pucha tumhe kya chahiye?
Usne saara aasmaan likh ke bheja.
Maine pucha kab miloge?
Usne qyamat ki sham likh ke bheja.
Maine pucha kis se darte ho?
Usne muhabbat ka anjaam likh ke bheja.
Maine pucha tumhe nafrat kis se hai?
Usne..Mera hi naam likh ke bhejaa…

Koi saath nibhaane nahi aata

(7 votes, average: 4.43 out of 5)
 Loading ...

Har taraf gehrai hai kinara nazar nahi aata
Raah mein bane jab musaafir toh koi hamsafar nazar nahi aata
Vaada toh kar lete hai sabhi mohabbat kar lene ke baad
Par jab waqt aaye toh koi saath nibhaane nahi aata
Kaun samjhe yeh haqeqat hum toh bas pyaar kiye jaate hai

Pages (47):« First...«56[7]89»...Last »