Kisi ki yaad mein rona…
Aye dil kisi ki yaad mein rona fazool hai,
Yeh ansoo bary unmool hai enhai khona fazool hai,
Ro toh unke liye jo tum par nisar hai,
Unke liye kya rona jin ke ashiq hazar hai…
Aye dil kisi ki yaad mein rona fazool hai,
Yeh ansoo bary unmool hai enhai khona fazool hai,
Ro toh unke liye jo tum par nisar hai,
Unke liye kya rona jin ke ashiq hazar hai…
Hum nazron se door hai,
Aankho se nahi,
Khawbon se door hai,
Khayalon se nahi,
Hum dil se door hai,
Dharkan se nahi,
Hum aapse door hai,
Aap ki yaado se nahi.
Waqt se waqt ki kya shikayat karen,
Waqt hi na raha waqt ki baat hai,
Usne dekha mujhe, usne chaha mujhe,
Usne thukra diya, waqt ki baat hai.
Toota hai dil par tooti nahi hai aas,
Num hai palke magar phir bhi chal rahi hai saans,
Chahe ho jitne bhi gum par yeh dil nahi hai niraash,
Aur khushi ke pal lautenge dil ko hai pura vishwas.
Thandi hawa ke jhonke chalte hai halke halke,
Aise mein dil na todo vaade karo na kal ke,
Chalte hai yeh bhi ham se tevar badal badal ke,
Jinko sikhaya ham ne chalna sambhal sambhal ke,
Saaqi ne aaj mujh ko aisi nazar se dekha,
Mausam hua gulabi rangin jaam chhalke,
Bistar ki silvato se yeh mehsus ho raha hai,
Toda hai dam kisi ne karvat badal badal ke.
Hum to saaya tera ban jayen agar tu chahe
Ya kabhi bhi na nazar aaye agar tu chahe
Tu jo chahe to sar-e-aam karein ehd-e-wafa
Yunhi duniya se guzar jaye agar tu chahe
Tujh se milne mein toh jaanan teri ruswaayi hai
Hum teri yaad se mil aaye agar tu chahe
Tu jo keh de toh pukaare sar-e-bazaar tujhe
Ajnabi ban ke guzar jaaye agar tu chahe
Zindagi jilein agar teri ijaazat mil jaaye
Teri chokhat pe hi mar jaye agar tu chahe
Tu jo chahe toh zamaane ke sitam yunhi sahen
Saari duniya se bhi takrayein agar tu chahe!
Hasti mit gayi aashiyana banane mein,
Umar beet gayi gam batane mein,
Ek hi pal mein door na ho jana,
Hamein toh umar lag jayegi aap jaisa dost paane me.
Khusiyon se bhar diya hai tumne jholi hamari,
Bin maange jab itni mile toh maange aur kya saari,
Lekin problem yeh hai ki meri,
Saal ki suruwat mein jab dil khusiyon se ho gaya bhari,
Toh kahan rakhun aur khusiyan jo aage milni hai bahut saari.
Kisi ek se karo pyaar itna,
Ke kisi aur se pyaar karne ki gunjaish na rahe,
Woh muskrade aap ko dekh kar ek bar,
Toh zinadgi se phir koi khwaish na rahe.
Har taraf khamoshi ka saya hai,
Zindagi mein pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hai unki,
Aru zamana kehta hai ki
Dekho yeh aaj phir peekar aaya hai..