Khubsurat hai zindagi khuwab ki tarha


Khubsurat hai zindagi khuwab ki tarha,
Janae kab toot jaye yeh kaanch ki tarha,
Kisi mod pe mulaqaat ho gai hamari,
Toh aankhain mat moorna anjaanaon ki tarha.

Rahenge tumahre dil mein hum


Kaun kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi,
Yeh afwaah zaroor kissi dushman ne uraayi hogi,
Shaan se rahenge tumahre dil mein hum,
Itne dino mein kuch toh jagah banayi hogi.

Itna chaldi vaada tod diya


Itna jaldi daaman chhod diya,
Itna chaldi vaada tod diya,
Abhi to zindagi ka sansein hai baaki,
Aur aapne abhi se yaad karna chhod diya

Mujhe mar jane do


Mujhe mat roko mujhe yaar ke ghar jane do
Us ko pana hi meri zindagi ka maqsaad hai
Agar wo milta hai mujhe mar ke to mar jane do

Tanhai aakar ye pooch jati hai


Subah aati hai rula jati hai,
Shaam aati hai samjha jati hai,
Tanhai aakar ye pooch jati hai,
Kya unhe bhi tumhari yaad aati hai.

Har taraf gahirai hai


Har taraf gahirai hai,
Kinaara nazar nahi aata.
Vaada toh kar lete hai bahot mohabbat karlene ke baad,
Par jab musibaat pade, toh koi saath nibhaane nahi aata.

Pages (365):[1]2345»...Last »