SMS Shayari Messages

Jab raat aati hai

(6 votes, average: 4.67 out of 5)
 Loading ...

Mujhe sulane ke khatir jab raat aati hai,
Mein so nahi pata raat khud so jati hai,
Puchne per dil se yeh aawaz aati hai,
Aaj yaad karlo raat toh roz aati hai.

Kyun kisi se itna pyaar ho jata hai

(11 votes, average: 4.91 out of 5)
 Loading ...

Kyun kisi se itna pyaar ho jata hai,
Ek din ka intezar bhi dushwar ho jata hai,
Lagne lagte hai apne bhi paraye,
Aur ek ajnabi par aetbar ho jata hai.

Chaman badal gaya hai

(8 votes, average: 4.63 out of 5)
 Loading ...

Panchi kehta hai ke gagan badal gaya hai,
Bhawra kehta hai ke chaman badal gaya hai,
Lekin aaj bhi shamshaan ki khamooshi yeh karti hai bayaan,
Ke laash wahi hai sirf kafan badal gaya hai.

Dhoka ko hum sab pyaar kehte hai

(9 votes, average: 4.33 out of 5)
 Loading ...

Jawani ko zindagi ki nikhaar kehte hai,
Pathjad ko chaman ka majdhaar kehte hai,
Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,
Ek dhoka hai jise hum sab pyaar kehte hai.

Duniya se ham anjaan bane unke liye

(9 votes, average: 4.44 out of 5)
 Loading ...

Sari duniya se ham anjaan bane unke liye
Hamse wahi ab anjaan bane bathe hai
Yeh dil ab aur intzaar mat kar
Lagta hai woh kisi aur ke mehman banye bathe hai

Zindgi ki kashti

(11 votes, average: 4.82 out of 5)
 Loading ...

Zindgi ki kashti kab lage kaun se kinare,
Kab isse milengi manchahi bahare,
Jeena toh padega hi kaise bhi pyaare,
Kabhi dosto ki bheed mein toh kabhi tanhai ke sahare.

Pyaar ki had se zyada pyaar kiya

(4 votes, average: 4.5 out of 5)
 Loading ...

Kabhi nazar se gira diya
Kabhi dil mein basa diya

Mohabbat mein tum ne humein
Kabhi hasaya toh kabhi rola diya

Kabhi pyaar be shumar kiya
Kabhi dard be inteha diya

Apni diwangi mein tumne humhein
Kiss makaam par puocha diya

Kabhi musaan mein bhar se mila diya
Kabhi sehra mein tanha kar diya

Dil ko khilona samajh kar tumne
Humein har khel mein hara diya

Kabhi umeedo ko barha diya
Kabhi mayousiyo ne jena duswaar kiya

Phir bhi humdum humne tumhein
Pyaar ki had se zyada pyaar kiya!!!

Har aanshu ko barsaat samajh lete hain

(5 votes, average: 4.2 out of 5)
 Loading ...

Dilwale aankhon ki har baat samajh lete hain
Sapno mein mil jaye to saugaat samajh lete hain
Rota to hai aashmaan v kavi apni jameen k liye
Par bewafaa har ek aanshu ko barsaat samajh lete hain

Teri taswir nazar aayi

(7 votes, average: 3.86 out of 5)
 Loading ...

Jab jab tumse milne ki tabdeer nazar aayi,
Aihsaas k pairoon taley janjeer nazar aayi,
Jab gaur kiya apne gidte hue asqoon pe,
Har ashq pe mujhe teri taswir nazar aayi.

Yaadein teri rakhdi hai sambhal kar

(7 votes, average: 4.71 out of 5)
 Loading ...

Yaadein teri rakhdi hai sambhal kar,
Dur kahi iss dil se nikal kar,
Sab kuch toh vapas le liya hai apne door jaa kar,
En yaadon ko bhi le jana kisi roz aakar.

Pages (46):«1[2]345»...Last »