Kya kahein dunya waalo ko
Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke
Ab to bas dharkano ka lihaz karte hain
Kya kahein dunya waalo ko jo
Aakahri saans par bhi aitraaz karte hain
Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke
Ab to bas dharkano ka lihaz karte hain
Kya kahein dunya waalo ko jo
Aakahri saans par bhi aitraaz karte hain
Saans lene se bhi teri yaad aati hai
Har saans mein teri khushboo bas jati hai
Kese kahoon ki saans se main zinda hoon
Jab ki saans se pehle teri yaad aati hai
Jate jate wo achhi nishani de gayi
Umar bhar dohora sakoo aisi kahani de gayi
Mein to us ki mohabbat ka pyasa reh gaya
Par wo meri palko ko pani de gayi
Nazar nazar mei har nazar mei
Ek nazar ki talaash hai,
Par yeh nazar woh nazar nahi
Jiski mujko talaash hai
Kitna bhi chaho na bhol pao ge hamain,
Jitna dur jao nazdik pao ge hamain,
Mita sakte ho to mita do yadain meri,
Magar kya sapno se juda kar pao ge hamain?
Meine khuda se ek dua mangi
Dua mein bus apni mout mangi
Khuda ne kaha
Mout to mein tujhe de sakta hoon magar
Us ka kiya karoon jisne dua mein
Teri lambi umar mangi
Hum ne chaha bhi to izhar karna na aaya
Kat gayi umar sari per humein pyar karna na aaya
Is ne mangi bhi to sirf judayi mangi
Aur humein inkar karna na aaya
Agar kal hum na bhi rahe
Humari yaade sada rahe gi
Sirf nazre utha ke chand ko dekhna
Humari dosti ki tasweer chand per bani rahe gi
Hum to bethe hi aap ke pyar main
Tarapte hain dard ke is jaal main
Chor di hai dunya is takrar main
Jab se milli hain tanhayian aap ke intezar main
Khud se to pyar hum ne kabhi kiya hi nahin tha
Aap ke siwa kisi ko ye haq diya hi nahin tha
Mushkilon main aaj aap ne rishta hi tor diya
Roshni ka khawab dikha kar andhere main chor diya