Khuda bhi tumarah chahne wala nikla
Humne socha hum sirf chahte hai tumko
Par tum ko chahne wala ka to kafila nikla
Dil na kaha, kar sikayat khuda se
Par khuda bhi tumarah chahne wala nikla.
Humne socha hum sirf chahte hai tumko
Par tum ko chahne wala ka to kafila nikla
Dil na kaha, kar sikayat khuda se
Par khuda bhi tumarah chahne wala nikla.
Zindagi ki raha mai jo gum milenge,
Woh apni zindagi se kam milenge,
Jaha duniya nighahe pher legi,
Waha tujh ko hum milenge
Itna jaldi daaman chhod diya,
Itna jaldi vaada tod diya,
Abhi to zindagi ke sansein hai baaki,
Aur aapne abhi se yaad karna chhod diya
Har aahat ehsas hamara dilayegi,
Har hawa kissa humara sunayegi,
Hum itna yadein bhar denge aapki zindagi mein
Ki na chahate hue bhi yaad hamari aayegi
Darte hai hum ab khwaabon se
Kahin phirse umeed na laga bhete apno se
Ab toh tanhayi hi apni mehfil hai
Ye soch ke har pal ko jiye jaa rahe hai
Un ko hum se mohabbat nahin
Ye hum ne tab jaana
Jab un ki mahabbat ne
Kar diya hum ko deewana
Kagaz pe humne zindagi likh di,
ashkon se seench har khushi likh di,
dard jab humne ubhara lafzo pe,
logo ne kaha wah kya gazal likh di
Dil ki aawaz ko izhaar kehte hai,
jhuki nigah ko ikrar kehte hai,
sirf paane ka naam ishq nahi,
kuch khone ko bhi pyar kehte hai
Wus din khuda ne bhi jashn manaya hoga,
Jis din aapko apne hatho se banaya hoga,
Usne bhi bahaye honge aansu,
Jis din aapko yahan bhej khud ko akela paya hoga
Aapki yaad aaye to dil kya kare,
yaad dil se na jaye to dil kya kare,
socha tha sapno mein mulaqat hogi,
magar neend hi na aaye to hum kya karen