SMS Shayari Messages

Na jane kis mod pe akela chhod jayegi

(3 votes, average: 4.67 out of 5)
 Loading ...

Zindagi hamesha kuchh naya dikhayegi
Kabhi hasengi to kabhi rulayegi
Is par bharosa mat karna
Ye zindagi hai na jane kis mod pe akela chhod jayegi

Jo tera naam na le

(3 votes, average: 4.67 out of 5)
 Loading ...

Apne dil ki sun, afwahon se kaam na le
Mujhe yaad rakh, beshak naam na le
Tera veham hai ki main bhuli hoon tujhe
Meri aisi koi saans nahi, jo tera naam na le

Lagti hai chot kaise kinaro se puchho

(7 votes, average: 4.57 out of 5)
 Loading ...

Is kadar na har baat yaron se pucho,
Jo baat raaz ki ho isharo se puchho,
Lahero se khelna to samandar ka shauk hai,
Lagti hai chot kaise kinaro se puchho

Jahan tanhai mili waha hum nazar aayenge

(2 votes, average: 4.5 out of 5)
 Loading ...

Waqt gujrega hum bikhar jayenge,
Kaun jane ki hum kidhar jayenge,
Hum aapki parchhai hai yaad rakhna,
Jahan tanhai mili waha hum nazar aayenge

Tujhe zindagi bhar kabhi na bhulaaonga

(11 votes, average: 5 out of 5)
 Loading ...

Ek roz bhari duniya se chala jaoonga
guzre huey waqt ki tarha wapas na aaoonga
tujhse jo pyar mila hai, us pyar ki kasam
tujhe zindagi bhar kabhi na bhulaaonga

Pyar ki aisi kahani chod jayenge.

(1 votes, average: 5 out of 5)
 Loading ...

Dil mein tumhari apni kami chod jayenge,
Aankhon mein intezar ki lakir chod jayenge,
Yaad rakhna dhundte rahooge humhe,
pyar ki aisi kahani chod jayenge.

Tum mohabbat ke kabil nahin

(3 votes, average: 1.67 out of 5)
 Loading ...

Mohabbat ki lahero pe kastiya chalane waale
zara sambhal ke, mohabbat dariya hai sahil nahi,
uthte hai kahi tofaan mohabbat ke samander me bhi,
ager us se lad na sako to tum mohabbat ke kabil nahi.

Mohabbat se chhuaa hai

(2 votes, average: 1.5 out of 5)
 Loading ...

Aaj is kadar raha me ishq bikhara pada hua hai,
Aaj har khusbo fiki aur gumanaam har dua hai,
Is anjan duniya me aap kaha se aa gaye koun ho aap,
Jis ne mujhe mohabbat se chhuaa hai.

Roshni ke liye hame jalaye

(8 votes, average: 4.63 out of 5)
 Loading ...

Dua karte hai hum KHUDA se,
Aye KHUDA humara pyara apni manzil paye,
Uski raho me andhera aaye…
Toh roshni ke liye hame jalaye

Jab dosti ki dastaan waqt sunayega

(13 votes, average: 4.69 out of 5)
 Loading ...

Jab dosti ki dastaan waqt sunayega,
Hum ko bhi koi ek shaks yaad ayega,
Tab bhool jayenge zindagi ke gamon ko,
Jab aap ke saath guzra waqt yaad aayega

Pages (50):« First...«4142[43]4445»...Last »