Aashikon ke dil mein
Aashikon ke dil mein samandar hota hai,
Iski har boond mein ishq hota hai,
Jab yeh foot padta hai aankhon se,
Toh isse rok paana bada mushkil hota hai.
Aashikon ke dil mein samandar hota hai,
Iski har boond mein ishq hota hai,
Jab yeh foot padta hai aankhon se,
Toh isse rok paana bada mushkil hota hai.
Unse roz milne ko dil karta hai,
Kuch sunne sunane ko dil karta hai,
Kisi ka manane ka andaaz aisa hai,
Roz rooth jane ko dil karta hai.
Ussne kaha kaun hai tu? Maine kaha hasrat teri..
Ussne kaha takta hai kya? Maine kaha surat teri..
Ussne kaha chahtay ho kya? Maine kaha mohabbat teri..
Ussne kaha pachtayega, Maine kaha qismat meri..
RAat aur din bus tumhari yaad aati hai,
Jab tum hasti ho toh kali kheel jati hai,
Jab tum roti ho toh kali sukh jati hai,
Hamesa hasti raha karo yahi duwa hai.
Pyaar ke ujaalo mein gum ka andhera kyu aata hai,
Jisko hum chahte hai wohi kyu rulata hai,
Mere khuda agar woh mera naseeb nahi,
Toh aise logon se kyu milata hai.
Kaun kiss se dil mein jaga deta hai,
Par bhi sukhe patte gira deta hai,
Waqif hum bhi hai duniya ki riwazo se,
Matlab nikal jaye toh har koi thukra deta hai.
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahi paaya,
Hawaaon ke isharon par magar mein beh nahi paaya,
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyaar ka kissa,
Kabhi tum sun nahi paaye, kabhi mein keh nahi paaya.
Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai,
Issliye shayad woh der laga rahe hai,
Waqt guzarta nahi unke bina hamara,
Yeh jante hue bhi hame sata rahe hai,
Na jane kya milta hai unhe hame yun sata kar,
Jo intezaar kara kar bhi woh muskara rahe hai.
Aankh jab ashk bahaaye toh mujhe likh dena!
Jab meri yaad sataaye toh mujhe likh dena!
Koi sawan ki ghata jab tere chatt pe aake,
Aag si dil mein lagaye toh mujhe likh dena!
Shab ke sannate mein jab toota hua dil koi,
Dard ka geet sunaye toh mujhe likh dena!
Haath phir dekhna apne shab-e-tanhaai mein,
Uski har lakheer bulaye toh mujhe likh dena!
Aye meri jaan-e-jahaan teri wafa ke moti,
Bheegi palkein jo lutayein toh mujhe likh dena!
Koi muh zor hawa jab hamari ulfat ki yaad,
Dil se sare naksh mitaaye toh mujhe likh dena.
Raaz dil ka dil mein chupate hai woh,
Samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi,
Par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh!