Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai,
Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai.
Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare,
Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.
Kitni jaldi mulaqat guzar jaati hai,
Pyaas bujhti nahin barsat guzar jaati hai.
Apni yaadon se keh do is tarah naa aaya kare,
Neend aati nahi aur raat guzar jaati hai.
Pata hi nahi chala kab woh dost se hamara pyar ban gaye,
Saath gujare hua kuch pal aaj yaadgar ban gaye,
Kar na sake unse izhaar hum is baat ka,
Aur dekhte hi dekhte woh kisi aur ke dildar ban gaye.
Son: “Dad, are you getting taller?”
Dad: “No, why do you ask?”
Son: “Because your head is growing through your hair!”
Meri chahat mein kami kuch na thi,
Jane kyon tu begana ho gaya,
Tujhe lagta hai mai khush hun,
Mujhe hanse to jamana ho gaya.
Ek adaa aapki dil churane ki,
Ek adaa aapki dil mein bas jane ki,
Ek chehra aapka chand sa,
Ek zid hamari chand pane ki.
Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
pehle dil phir zindagi se jud jate hain,
kehte hai uss daur ko dosti,
jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
Ab un raaho se guzra nahi jata,
Jahan baith kar unka intezaar kiya karte the
Teacher: What’s the meaning of a school?
Ritesh: A school is a place where father pays and the child plays!
Jinki yaad mein hum deewane ho gaye,
Wo hum hi se begaane ho gaye,
Shayad unhe talash hai ab naye pyaar ki
Kyunki unki nazar mein hum purane ho gaye